عکس ﺧﻮﺷﺒﻮ ﮨﻮﮞ،ﺑﮑﮭﺮﻧﮯ ﺳﮯ ﻧﮧ ﺭﻭﮐﮯ ﮐﻮﺋﯽ
ﺍﻭﺭ ﺑِﮑﮭﺮ ﺟﺎﺅﮞ ﺗﻮ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﻧﮧ ﺳﻤﯿﭩﮯ ﮐﻮﺋﯽ
ﮐﺎﻧﭗ ﺍُﭨﮭﺘﯽ ﮨﻮﮞ ﻣَﯿﮟ ﯾﮧ ﺳﻮﭺ ﮐﮯ ﺗﻨﮩﺎﺋﯽ ﻣﯿﮟ
ﻣﯿﺮﮮ ﭼﮩﺮﮮ ﭘﮧ ﺗﺮﺍ ﻧﺎﻡ ﻧﮧ ﭘﮍﮪ ﻟﮯ ﮐﻮﺋﯽ
ﺟﺲ ﻃﺮﺡ ﺧﻮﺍﺏ ﻣﺮﮮ ﮨﻮﮔﺌﮯ ﺭﯾﺰﮦ ﺭﯾﺰﮦ
ﺍِﺱ ﻃﺮﺡ ﺳﮯ ﻧﮧ ﮐﺒﮭﯽ ﭨُﻮﭦ ﮐﮯ ﺑﮑﮭﺮﮮ ﮐﻮﺋﯽ
ﻣﯿﮟ ﺗﻮ ﺍُﺱ ﺩِﻥ ﺳﮯ ﮨﺮﺍﺳﺎﮞ ﮨﻮﮞ ﮐﮧ ﺟﺐ ﺣُﮑﻢ ﻣﻠﮯ
ﺧﺸﮏ ﭘُﮭﻮﻟﻮﮞ ﮐﯽ ﮐﺘﺎﺑﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻧﮧ ﺭﮐﮭﮯ ﮐﻮﺋﯽ
ﺍﺏ ﺗﻮ ﺍﺱ ﺭﺍﮦ ﺳﮯ ﺷﺨﺺ ﮔﺰﺭﺗﺎ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ
ﺍﺏ ﮐﺲ ﺍُﻣﯿﺪ ﭘﮧ ﺩﺭﻭﺍﺯﮮ ﺳﮯ ﺟﮭﺎﻧﮑﮯ ﮐﻮﺋﯽ
ﮐﻮﺋﯽ ﺁﮨﭧ ،ﮐﻮﺋﯽ ﺁﻭﺍﺯ ،ﮐﻮﺋﯽ ﭼﺎﭖ ﻧﮩﯿﮟ
ﺩﻝ ﮐﯽ ﮔﻠﯿﺎﮞ ﺑﮍﯼ ﺳﻨﺴﺎﻥ ﮨﯿﮟ__ﺁﺋﮯ ﮐﻮﺋﯽ
------------------------
Aqs e khushbu hon, bikharne se na roke koi
Aur bikhar jaon to mujh ko na samatey koi
Kanp uthti hon mein ye soch k tanhai mein
Mere chehre pe tera naam na parh lay koi
Jis tarah khawab ho gaye mere raiza raiza
Iss tarah se na kabhi toot k bikhre koi
Mein to is din se hiraasan hon k jab hukam mile
Khushk phoolon ko kitaabon mein na rakhe koi
Ab to us raah se wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed se darwaze se jhaankey koi
Koi aahat, koi awaaz ,koi chaap nahi
Dil ki galiyaan bari sunsaan hein aye koi
0 تبصرے