Neela parbat thandi howa

urdu shairy

Neela parbat thandi howa
Chand se khelay kali ghata
Masti bhari ye mast fiza

Kitna pyara ye alam hai
Aise mein kahan mera balam hai

Din ka suraj nikhra nikhra
Husan e Qudrat bikhra bikhra
Dil ka chehra utra utra

Gehan laga mehtaab ko
Dhundo us mahtaab ko

Raat ko chand ka roshan hala
Jaise tere kaan mein bala
Chehra fitrat bhola bhola

Har shay par hai husan ka alam
Dhund ke lao mera balam

Mujh se husn ki baat na kar
Sheron ki barsat na kar
Zikar e husn mein raat na kar

Mehfil ne rang jamaya hai
Aur dhund ke balam lana hai

Zulafiqar Ahmed Zulafiqar

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے