Choti baaton pay ay mehrban
Aisay hote nahi badguman
Tujh ko samjhaon mein kis tarah
Mujh se rutho na jan is tarah
Bin tere yun tarapta hai dil
Mahi jal ke bina jis tarah
Keh raha hai ye rangeen sama
Badgumani na kar badguma
Rah dashwar lamba safar
Rahzani bhi karein hein khizar
Mushkalon se na darna sanam
Chalte rehna mere hamsafar
Yuni chalta rahe karwan
Mil hi jaye ga apna Jahan
Yaad rakhna mere humnasheen
Dhoka rah mein na khana kahein
Na tha apna kabhi aasman
Aur nahi ab ye apni zameen
Rah dekhaein kahein bijliyan
Jal uthe na kahein aashiyan

0 تبصرے